Machine learaning aik predictive modeling ka doosra naam hy. Ab ap bethay soch rahay hun k pehlay Machine learning samjha do yar baad main Predictive modeling bta dena. or mera jawab hy k Machine Learning or predictive modeling dono aik ki cheez k naaam hy.
Shugal-1:
Mera dost Nasir bus main ja raha tha rastay main daakoun ne bus lootna shuru kar di, sab se saman loot rahay thay k aik orat se saman lootnay walayt daako ne poocha ap ka naam kia hy, woh Kehti, Kausar, daako kehta baji ap apna saman rakh lo main ap ko nahi lootun ga, q k meri behan ka naam b kausar hy. Nasir ki bari aye tu usay daako kehta "Tumhara kia naaam hy", Nasir agar se kehta k naaam tu mera Nasir hy magar payar se ghar main mjhy "Kausar! Kausar Kehtay hy".
As digitally connected people ham log har second main tonns of data produce kar rahay hyn jo dunia k baray baray players like Google, Facebook, Amazon etc.. utilize kar k un se prediction generate kartay hyn and hamen sirf hamari history k provided data ki base per hi future predictions ati hyn.
For example:
Ap bazar se suit purchase karnay jatay hyn or wahan jis shop per jatay hyn us ko ap k regular customer hnay ki wajah se ap ki preference k related bht c batain pata hun ge.
Jaisa k ap yehi samajh len k usay pata ho ga k aap ko red color pasand nahi hy. Is previous history ki base per woh koshish kare ga k ap ko red color ka suit na dikhaye or aaap ko doosray colors dikhaye, woh dukandar na chahtay huay b apnay dimag main predictive modeling kar raha hy.
Same isi example ki trah dunia ki bari companies ap ko sirf woh dikhati hyn jo ap dekhna chahen. Isi ko predictive modeling kehtay hyn, data ko use kartay huay us ki sense bna k apna required output ya maqsad poora karna
Is notebook main code maine aisay likhay hyn ap top right corner per copy k option se copy kar saktay hyn pooray cell ko.
This is how you install Scikit-learn library in python
pip install scikit-learn
Apple users can use:
pip3 install scikit-learn